Header Ads

Nariyal Paani peene aur Nariyal khane ke fayde (Benefits of Coconut water drink)

Nariyal Paani (Coconut drink) Photo
Rojana ek glass Nariyal Paani (Coconut Water Drink) piye. Ise peene ke bade hi fayde hote hain, Saath hi Nariyal aur iske tel ke bhi bade fayde hain. Isse aapko freshness milegi aur health mein sudhaar hoga.

Garmiyo mein Nariyal paani peene se looh se bacha ja sakta hain. Natural guno se bharpoo Nariyal Paani aapko  bahut jyada labh dega. Ise peene se sharir mein paani ki kami door hoti hain, Wajan ghatane mein madad milti hain, Skin aur hair ki health nikharti hain. Nariyal ko aap kha  sakte hain, Uska oil use kar sakte hain aur ise khane mein bhi use kar sakte hain. Nariyal mein Vitamin, Dietary Fibers aur Minerals ka sampoorn misharan hain. Purane jamane mein Nariyal ko tradition Medicine ke roop mein upyog kiya jata tha aur aaj bhi skin par lage nishaan ko khatm karne ke liye Nariyal ke tel ka istemal kiya jata hain. To aaiye aaj hum aapko Nariyal mein chhupe guno ke baare mein batate hain :-

1. Baal jhadna aur dandruff kam hota hain :- Baalo ke tootne ya girne ki badhti samsya se nijat paane ke liye Nariyal ka tel sabse accha hain. Nariyal wale milk mein healthy nutrients sabse jyada hote hain. Ise lagatar use karne se aapke baalo ki growth acchi aur jhadte baalo ki samsya kam ho jayegi. Agar aapke baalo mein dandruff hain to Gungune Nariyal  tel ki  massage baalon mein kare.

2. Immunity system ko majboot banata hain :- Nariyal Paani (Coconut water Drink) body ki immunity power ko badhata hain aur Infection ke khatre ko kam karke anek bimariyo se hamari raksha karta hain. Khas taur par Dil, Liver aur Blood flow se related problems se nijat dilane mein madadgar hain.

3. Infections se bachne ke liye :- Nariyal mein natural source hone ki wajah se vah bahari infection hone se bachata hain. Iske alawa Nariyal mein Anti-Bacterial, Anti-Fungal aur Anti-Viral gun hote hain, Jo aapki body ke immune system ko strong rakhne mein madad karta hain.

4. Wajan control karne mein madad karna :- Coconut mein Fiber adhik hota hain, jise khane se calorie nahi badhti hain. Isliye bhookh lagne par aap coconut khate hain, to aapka wajan nahi badhega aur aapki bhookh bhi shant ho jayegi. Nariyal Metabolism ko control karta hain jisse jyada bhookh nahi lagti hain. Acidity ko shant karne ke liye Nariyal Paani kafi helpful hain.

5. Blood Sugar ko control karna :- Fibers hone ki wajah se Nariyal glucose ke badhte level ko control karta hain jisse blood mein sugar level control ho jata hain aur diabetes nahi hoti aur agar diabetes hain to vah control mein rahti hain. Iske alawa Nariyal paani se aapka digestive system sahi rahta hain.

6. Dil ko rakhe healthy :- Nariyal mein sodium ki matra kam aur potassium ki matra adhik hoti hain. Jin logo ko high blood pressure ki dikkat hain, unke ke liye yeh kafi faydemand hain. Nariyal Fat aur Gluten Free hota hain aur isme Dietary fibers adhik hota hain, jo dil ke liye accha hota hain. Nariyal khane se aapka cholesterol nahi badhta aur sharir mein kanhi chot ya jalane ke nishaan ko door karne ke liye Nariyal behad kargar hain.

7. Skin infection ke liye :- Skin mein kanhi bhi infection hone par aap Nariyal Oil ya Milk ko laga sakte hain. Iske alawa skin infection jaise dermatitis, eczema aur tavcha rog hone par Nariyal Tel lagana sahi rahta hain. Nariyal aapki beauty ke liye bhi use hota hain. Loose skin, Aging Spot aur other problems ke liye nariyal best medicine hain. Chehre par Nariyal tel aapke chemical level ko hi balance nahi karta , balki skin mein hone wali problems se ladne mein madadgar hota hain.

8. Digestive system ko strong rakhne mein madadgar :- Bahut kam log hi jante hain ki pet ki gadbad ko sahi karne mein nariyal kafi madadgar hota hain. Jin logo ke pet mein dikkat rahti hain, Unhe din mein ek baar Nariyal jaroor khana chahiye ya Subah mein Nariyal Paani peena chahiye. Nariyal aapke khane ko digest karne mein help karta hain.

9. Energy level ko badhane ke liye ;- Din mein thakaan ya stress par hone par aap nariyal kha sakte hain. Nariyal paani peene se aapko bahut jyada rahat milegi. Sharir mein energy banaye rakhne ke liye Nariyal paani sabse best hain, jo aapki physical energy ko banaye rakhta hain. Agar aapko lambe samay se thakaan ki samsya hain to aaj se hi Nariyal paani peena shuru kar de. Jald hi isse nijat paya ja sakega.

10. Pathari ko khatm karta hain :- Isme mauzood potassium aur Magnesium Gurde ki patthari (Kidney Stone) hone ke khatre ko kafi kam kar dete hain.